Wednesday, December 16, 2015

ZINDAGI (XLVII)

Aaj chand jaise zameen pe utar aaya tha
Maine usse apni mutthi mein pakda 
aur jhole mein daal liya
Aaj main bahut khush thi
Aasmaan mein dekha to wo nahi dikha
Main khush thi ki wo mere paas mehfoos rakha tha
Baadal chante aur mera bhram toota
Jhola dekha to wo nahi dikha
Bahut dhoondha maine usse
Wo wahin tha jahan usse rehna tha
Jise kabhi maine apni muthi mein saraha tha
Ab roz main usse aasman mein dekha karti hun.


Matiana, Himachal Pradesh

No comments:

Post a Comment

Featured Post

ARAMBOL, GOA- A PERFECT SOLITUDE(XLIX)

18th December, 2015- 26th December, 2015 A beach of dreamers, where freedom touches my feet,  where love flourishes and love message...